Hum indians ko hamesa se badi cars pasand aati hai jisme hume acha space mile. Issi liye sayad India me SUV segment ko bohut jyada popularity milti jaa rhi hai. Aur issi segment ka ek aur sub segment jisse sub-compact SUV kaha jata hai vo bhi kafi hi popular hota jaa rha hai. Iska ek reason ye bhi h ki SUV's ka ground clearance bhi acha hota hai jo ki Indian roads ki condition ke hisab se bohut jaruri bhi hai. To hum aab baat karte hai ki January 2021 me top three selling SUVS ki.
1. Hyundai Creta
Creta, hyundai ki sabse jyada bikne wali gadiyo me se ek hai. Aur is car ne launch ke time se hi SUV segment me kafi ache sales report dikhae hai. Aaj bhi Creta ka koi competition nhi hai, ye car RS 10 lakhs se jyada mehgi hone ke baad bhi itne ache sales figures dikha rahi hai. January 2021 me Hyundai Creta ke 12,284 units sell hui thi, jo ki year to year 78% ka positive growth hai last January 2020 ki sales ke comparison me. Ye car apne features aur Hyundai ki achi after sales service and trust ke karan itni sales hasil kar pai hai. Hyundai creta ki price rs 11.69 lakhs se shuru hoke 20.98 lakhs (on-road price, mumbai) tak jati hai.
2. Hyundai venue
Hyundai venue, hyundai ki compact SUV segment ki car hai jisne ki segment me launch ke time se dhamaka macha diya hai. Hyundai apni cars ko features se fully loaded rakhta hai. Aur issi karan se SUV segment me Hyundai ko India me koi bhi car manufacturers competition nhi de paa rhe hai. Maruti Suzuki compact sedan aur hatchback segment me leader hai par SUV market ko Hyundai ne hi cover kiya hua hai. January me Hyundai venue ki 11,779 units sell hui jo ki January, 2020 se 75% ki positive growth hai. Hyundai Venue petrol, diesel aur turbocharged petrol engine ke options me aati hai. Aur sabse best is car me hume iMT transmission bhi dekhne ko milta hai.
3. Maruti Suzuki vitara Brezza
Maruti Suzuki, India ka sabse bada car manufacturer hai. Aur Maruti ne hi india me 800 launch karke Indian car market me revolution kiya tha. To is car ka naam is line me aana bohut jaruri tha. Maruti Brezza ki January, 2021 me 10,623 units sell hui jo ki January 2020 se 4.82 % ki growth hai. Maruti Brezza me sirf 1.5-litre K-series petrol engine hi offer karta hai, Brezza me diesel engine nahi hone ke baad bhi car 10,000 units ka mark cross kar pai hai. Iska sabse bada reason hai maruti ka strong service network aur reliability.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments