2021 Kia seltos with panoramic sunroof expected to launch on 27 April!

 Kia Seltos, Kia ki indian market me sabse pehli car thi aur feature loaded hone ke karan bohut jaldi popular bhi ho gai hai. Kia Seltos ko Indian market me 2 saal ho gae hai. 2020 me Creta ki new generation launch hone se pehle Seltos segment ki best selling car thi. Lekin ab Seltos thodi purani ho gai hai. To Kia ab apni best selling car ko update karne wali hai. Is update ke bare me jyada kuch abhi tak pata nahi laga hai par kuch changes fix hai jese ki Kia Seltos ko bhi aab Panoramic sunroof mil sakti hai aur sath hi me kia ka naya logo bhi hume Kia Seltos pe dikh sakta hai.

Why Kia Seltos need Panoramic sunroof? 

2021 kia Seltos to launch with panoramic sunroof

Indian market me customers ko sabse jyada attract karne wale features me se ek feature hai Sunroof. Aur Panoramic sunroof to logo ke car lene ke decision ka sabse bada reason ban jata hai. Aur sath hi me baat kare Kia Seltos ke competition ki to sare car makers is segment me panoramic sunroof offer kar rahi hai. Kia Seltos filhal compete karti hai Hyundai Creta, Skoda Kushaq aur MG Hector se. Kia Seltos ki price start hoti hai ₹9.89 lakhs ex-showroom se. 


Agar iske alawa baat kare to Kia Seltos kafi hi feature loaded hai aur sath hi me bohut Sare segment leading features ke sath aati hai. Features ki list me sabse highlighted feature hai front ventilated seats, Heads-up display, 360-degree parking camera,  ambient lights, front and rear parking sensors, wireless charger, LED headlights with LED tail light and LED ice cube foglamps, rear seat curtains,  6 airbags, Blind view monitor, 10.25-inch multi infotainment system with Android Auto and Apply CarPlay. 

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments