India's first Electric Maruti Suzuki Dzire!

 Aaj hum apko batane wale hai India ki pehli MARUTI SUZUKI Dzire ka electric version. Maruti ne abhi tak Indian market me koi bhi electric vehicle launch nahi kiya. Aur sayad is saal bhi koi electric car launch na kae pae. To fir hum apko ye Electric Dzire kaha se dikha rahe hai. Ye car February 2020 registered Dzire VXI varient hai jo ki suzuki Dzire ka sabse value for money varient hai. Is car ko Northway Motorsport naam ki company ne puri car ko puri tarah electric bana diya hai. 


Ye pura kaam aur powertrain ka delevopment ka pura kaam Northway Motorsport me hi kiya gaya hai. Is car ke under hume 15KW ki motor milti hai jo ki 35KW ki peak tak jaa sakti hai. Ye Motor 170NM ka torque generate karti hai jo ki wheels ko 842 NM ka torque pohuchati hai. Iske sath hume 13 KWH ki battery milti hai jo ki fuel tank aur transmission tunnel me rakhi gayi hai. Us battery ko hum 15KWH tak extent kar sakte hai jo ki is Dzire me kari hui hai. 

Dzire EV me manual transmission bhi aata hai-



Is Dzire EV me hume ek 5-speed manual transmission bhi dekhne ko milta hai. Is gearbox me flywheel ko halka kiya gaya hai aur ussi ke sath hum isme reverse gear ka bhi istemal kar sakte hai. Is pure kaam se gaadi ke overall weight distribution me koi bhi change nahi aaya hai. Weight distribution stock car jesa hi hai. Usi ke sath hume is Dzire EV me koi jyada weight addition bhi nhi dekhne ko milta hai. Original stock Suzuki Dzire ka kerb weight hai 947 KG ka aur is EV ka weight hai 950 KG. 


Dzire EV ki top speed 160  KM/H hai jo ki kafi hi achi top speed hai ek EV ke liye. Is car me CCS 2 charging port lagaya gaya hai jo ki fuel gauge ko replace karke fuel filling lid ke piche hai. Ye car agar sadharan 15 amperes ke socket se charge kari jae to 8 ghante me 0 se100 percent charge ho sakti hai aur fast charging pe abhi kaam chal rha hai. Is car ki range ek charge me 250 KM ki btai jaa rahi hai.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog acha laga toh Please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka 
koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments