The upcoming Sedans in 2021 in India : Part 2

Jasie ki humne part 1 bataya tha ki 2021 me carmakers apni  bahut sari Sedans ko launch hogi. Hume 2021 me Company ki taraf se kuch models ka naya generation, jisme hume major upadtes dekhne ko milenghe aur vahi kuch models ko thoda sa update karke, market me launch kr diya jaegha. Aap iss blog ka Part 1 " The upcoming Sedans in 2021 in India : Part 1 " pe click karke padh sakthe hai.

Mercedes-Benz E-class Facelift


Mercedes-Benz E-class Facelift 2021 edition me hume, exterior me kuch major changes ho sakthe hai vahi interior itne changes nhi dekhne ko milnghe. E-class ke exterior me hume nayi grille ke saath saath headlights aur taillamps ko bhi naya design diya jaegha jisse hume E-class ka look aur bhi luxury aur attractive hoga. Interior me naya MBUX infotainment system dekhne ko milegha saath hi aur bhi kuch minor changes honge. Isme hume 2.0 litre petrol, 4.0 litre petrol, 2.0 litre diesel aur 3.0 litre diesel engine dekhne ko milenghe, Iski launching mid-2021 me ho sakthi hai aur iski price rang 65 lakh -1.5 crore ho sakthi hai.


Mercedes-Benz A-class Limousine


Mercedes-Benz A-Class Limousine me hume bahut ache changes dekhne ko milenghe. Iske Exterior ki baat kare tooh hume Longer wheelbase ke saath thodi extended roofline dekhne ko mileghi jisse gaadi me space aur comfortness baadh jaegha. Interior ki baat kare tooh hume naya tech updates jasie ki naya MBUX infotainment system vooh bhi navigation support ke saath,wireless phone charging,dual zone climate control jasie ache features dekhne ko milnghe.Isme hume 2.0 litre petrol aur 2.0 diesel engine dekhne ko mil satkhe hai. Ye Limousine early 2021 me launch hogi aur iski price 40-65 lakh.

Porsche Panamera


Porsche apni 4 door vali car me kuch naya updates krengha. Hume naya chassis aur look me thoda updates dekhne ko milegha. Porsche apne nayi refreshed series me power ko bhi increase kr saktha hai.
Isme hume 2.9 litre petrol aur 4.0 petrol engine dekhne ko milegha aur iski price range 1.5-3.0 crore ho sakthi hai.

Toyota Camry facelift



Toyota apni Camry ke refershed version ko mid 2021 me launch kregha. Exterior ki baat kare tooh hume naya style ka bumper aur LED tail lights dekhne ko mileghi aur saath hi naya design ke alloy wheels dekhne ko milenghe. Interior me hume 9.0 inch ka touchscreen infotainment screen dekhne ko mileghi.Isme hume  2.5 petrol engine dekhne ko milegha. Iski price ki baat kare tooh vooh 35-40 ke beech me ho sakthi hai.


THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog acha laga toh Please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka 
koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments