New Mahindra Thar v/s Toyota Fortuner 4X4 : Who wins ?

Mahindra Thar aur Toyota Fortuner dono hi jordar gaadi hai. Dono hi gaadi apni looks, royalty aur power ke liye famous hai. Mahinbdra Thar ka second-generation jo ki last year 2020 me launch hui thi aur recently bahut hi demanding aur successful gaadi rahi hai aur is reason ke vajah se Mahindra Thar ka waiting period bahut jayda lamba ho gaya hai.

Mahindra Thar ek powerful engine provide kr thi hai. Lekin kya yeah inti powerful hai ki Toyota fortuner se compete kr sake? So konsi gaadi sabse jayda powerful hai, isko check karne ke liye, yotube pe recently Heat 17 channel ne Mahindra Thar 4X4 manual transmission aur Toyota Fortuner 4X4 automatic transmission ke beech(between) me  Tug of war kiya hai.

ALSO READ Skoda launched its facelift of Superb Luxury Sedan

Ek br dono gaadi ke engine ki taraf dekhe tooh - Mahindra Thar me 2.2 litre mHwak diesel engine aata he jo ki 130 Bhp aur 300 Nm ka torque generate karta hai, aur Toyota Fortuner 2.8 litre diesel engine ke saath aati jo ki 174 Bhp aur 450 Nm ka torque generate karti hai. Is Tug of war me tyre ka bhi important role hai kyuki tyre ki grip bhi isme important hoti hai so Thar me CEAT A/T 255/60 R18 tyres aate hai vaahi Fortuner me Bridgestone dual Terrian hybrid tyre jiksi size 265/60 R18 hai.

Aap sab ke liye ek important news aur hai, agar ap sabko hmare blogs pasand aate hai aur ap apne aap ko latest blogs ke liye updated rakhna chahte ho to niche right corner pe jo bell icon hai usko dabake next window pe allow click kare taki aap hamare sale blogs ke notifications paa sake.

Competition ko 3 round me kiya gaya. Jisme 2 condtions same rahi bus driving mode different tha.
Same Conditions : 
  • Traction Controls : OFF
  • AC                       : OFF

 ROUND -1 

First round me driving mode 4X2 tha, aur isme Fortuner aur Thar dono ek dusre ko pull nhi kr payi. 

ROUND -2

Second round me driving mode 4X4 high mode tha, aur isme Fortuner ne apni strong power se Thar ko line ki taraf bahut easily pull kr liya.

ROUND -3

Third round me driving mode 4X4 low mode tha, aur isme bhi Fortuner ne apni strong power se Thar ko line ki taraf easily pull kr liya.

Why Toyota Fortner wins?

Toyota Fortuner Jeeta kyuki Fortuner me Thar se jydya powerful engine aur saath hi fortuner weight me thar se jyada hai, so Jyada weight aur power hone ke karan(reason) se fortuner ne Thar ko easily pull kr liya.

  • Vasie tooh comparison karna unfair hai kyuki dono gaadi different segment ki hai.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog acha laga toh Please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka 
koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast.



Post a Comment

0 Comments