This render image shows the most aggressive side of Tata Altorz iTurbo

 Tata ne kuch din pehle apni premium hatchback Tata Altroz ka turbo varient unveil kiya tha, jiska naam Tata Altroz iTurbo rakha gaya hai. Tata, Altroz ke is sabse powerful varient ko 22nd January ko Indian market me launch karegi. Altroz iTurbo ke hood ke niche hume Tata ka 1.2-litre ka turbocharged petrol engine milega, ye vahi engine hai jo hume Tata Nexon me bhi dekhne ko milta hai par ye engine Altroz iTurbo me 110 HP ki power or 140NM ka torque generate karta hai. Is engine ko tata 5-speed manual gearbox ke sath dega or future me hume 7-speed DCT automatic gearbox bhi dekhne ko mil sakta hai. Agar apko Tata Altroz iTurbo ke bare me detail me padhna hai to is link pe click kare - Tata Altroz Turbo Safest Turbo Car - DCT coming?


Aap sab ke liye ek important news aur hai, agar ap sabko hmare blogs pasand aate hai aur ap apne aap ko latest blogs ke liye updated rakhna chahte ho to niche right corner pe jo bell icon hai usko dabake next window pe allow click kare taki aap hamare sale blogs ke notifications paa sake.

Also read - New Mahindra Thar v/s Toyota Fortuner 4X4 : Who wins ?

Aap sabhi ko pata hai ki Tata ne kuch saal pehle Jayem Automobiles ke sath tie up kiya tha taki vo apni cars ka performance varient launch kar sake. In varients ka naam JTP rakha gaya tha. Tata Tiago or Tata Tigor me hume ye varient dekhne ko mila tha. Par kam sales or market se itna acha response nahi milne ke karan Tata or Jayem Automobiles ne apna tie up khatam kar diya or uske baad hume Tata ki kisi bhi car me JTP varient nhi dekhne ko mila. Par agar Tata kr JTP varient abhi bhi hote or Tata Altorz iTurbo ka JTP varient hota to vo kesa hota. Hamre pas uski kuch rendered images hai jo ki purely imaginary hai or iska esa koi varient future me launch nahi hoga.


Ye rendered images Yash upadhayay ne banai hai aur apne instagram handle pe share kari thi. Yash ne Tata Altroz ki stock picture ko render kiya tha par ab ye car kisi bhi tarah se stock car se match nhi karti hai. Car me rear me hume ek customized rear bumber aur rear customized taillights bhi dekhne ko milti hai.


Usi ke sath hume ek oversized rear spoiler ldekhne ko milta hai jo ki kisi bhi road pe chalne wali car ke liye allowed nahi hota hai. Side me hume wide body kits milte hai jisme 1 feet wide wheel arches dekhne ko milte hai. Or hume 5-spoke alloy wheels design milte hai red brake callipers ke sath.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog acha laga toh Please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka 
koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

1 Comments

  1. I read all the information you have mentioned in your blog that is really commendable. I really like your post, please share more information with us.
    automotive data mining

    ReplyDelete