February, 2021 - Cars with waiting period over 6 months

 Lockdown ke baad, Indian automobile sector me bohut dhamakedar car launches hue aur automobile ki demand bhi badi hai. Kuch car makers is demand ko time pe complete nhi kar paa rhe hai isiliye in cars ka waiting period badhta hi jaa rha hai. Is waiting period ke badhne ke bohut sare reasons hai aur sabse bada reason hai lockdown. Lockdown me international exports band hone aur production nhi hona sabse main factor hai. Aab hum baat aise cars jinka waiting period 6 months se jyada ka hai.

1. Mahindra Thar -



The new generation Mahindra Thar launch se hi bohut popular ho gai hai. Ye car apni  purani generation se jyada off road capabilities rakhti hai aur sath hi me ye city use ke liye bhi bohut achi performance aur comfort provide karti hai. But car ke parts ka time pe production nhi hone ke karan Thar ki deliveries late ho rahi hai. Mahindra Thar pe hume 9 months ka waiting time mil raha hai.Mahindra  recently thar ko bina infotainment system ke bhi ship kar rahi hai.

Aap sab ke liye ek important news aur hai, agar ap sabko hmare blogs pasand aate hai aur ap apne aap ko latest blogs ke liye updated rakhna chahte ho to niche right corner pe jo bell icon hai usko dabake next window pe allow click kare taki aap hamare sale blogs ke notifications paa sake

Nissan Magnite -



 Nissan magnite, Nissan aur sub 4-meter compact SUV segment ka latest product hai. Ye car Nissan ka Indian market ke liye saviour banke aaya hai. Magnite ke karan Nissan ke sales me bohut jyada growth nazar aai hai. Aur iske launch ke time ye bhi bola jaa rha tha ki agar nissan magnite india me sell nhi hoti to sayad Nissan Indian market ko leave kar deta. Nissan ne is car me bohut sare features diye hai vo bhi bohut kam price me. Nissan magnite pe hume 8 months ka waiting period milta hai.

Hyundai Creta -



Hyundai creta Indian market me July 2015 me launch hui thi aur abhi currently apni second generation me hai. Ye car launch ke baad se hi bohut popular rahi hai aur aaj bhi best selling SUV hai. Aur Creta, January 2021 ki best selling SUV bhi hai. Hyundai Creta pe hume 7 months ka waiting time dekhne ko milta hai.


Maruti Suzuki Ertiga - 



Esa kese ho sakta hai ki hum baat kare best selling cars ki aur Maruti ka naam nhi aae. Maruti Suzuki Ertiga, maruti ki ekloti car hai jo is list me hai. Ertiga pe hume 6 months ka waiting time dekhne ko mil raha hai.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

1 Comments