Heavy discounts upto 3.02 lakhs on Tata EV's purchased in Delhi - Switch Delhi Mission

 Electric vehicles automobile industry ka future hai. Hume pasand aae ya nhi par aage hume electric cars hi chalani padegi. Kuch logo ko petrol aur Diesel engine ka raw feel bohut pasand hota hai but pollution aur petrol prices ko dekhtr hue dheere dheere automobile industry electric vehicles ki taraf bohut speed se badh rahi hai. Sari company sasti, aur jyada range wali cars launch karne ki planning kar rahi hai. Aur India me is race me sabse aage hai Tata. Tata Nexon EV recently hi highest selling EV of India bani hai jo ki Tata ke liye ek bohut achi baat hai.

Also read - TOP 5 ELECTRIC CARS IN INDIA 2021 - IS TATA NEXON THE BEST?

What is Mission Switch Delhi?

Delhi me air pollution ka level lagatar badhta jaa rha hai jiske karan Delhi ke logo ko kafi problems ho rahi hai aur is pollution ka ek bohut bada reason hai automobiles. Cars ke karan pollution bohut serious issue hai. Aur is problem ke solution ke liye Delhi government ne introduce kiya hai Switch Delhi Mission. Is campaign ke through Delhi governmen 100 fast charging points banaegi taki electric cars ko charge karne me unke owners ko koi problem ba aae. 




Sath hi me delhi government ki expectations hai ki 2024 tak Delhi me register hone wali cars me 25% cars electric hogi. Aur issi cheez ko promote karke liye Delhi government Tata ki EV's pe new buys ko subsidy provide karegi. Is decision se Delhi ke air pollution me bhi kami aa sakti hai aur made in India electric cars ko bhi bohut support mil sakta hai. Is subsidy se new buyers ko Tata EV's ki purchase pe flat 1.5 lakh ka purchase incentive milega aur ussi ke sath road tax registration fees bhi maaf kari jaegi jisse buyers ko 1.22 lakhs se leke 1.5 lakhs tk ka profit unki car aur use varient pe depend hoke milega.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

1 Comments