Maruti Suzuki Swift facelift 2021 - launch date, price, changes, engine?

 Maruti Suzuki Swift, India me filhal Hyundai Grand i10 NIOS, Tata Tiago, Ford Figo, Honda jazz jesi cars se small Hatchback segment me compete kar rahi hai aur sabko tough competition de rahi hai. Swift, January 2021 me bhi iske segment ki highest selling car rahi hai. 

January me Swift ke 17,180 units sell hue jo ki ek bohut bada number hai. Aur ye digit hi apko Maruti Suzuki Swift ki popularity ke baare me sari baat bata deti hai. Ye car iski cheap price, low maintenance aur Maruti ke strong service network ke karan bhi itne numbers me sell hoti hai. Currently Swift apni third generation me hai jo ki 2018 me launch hui thi aur Maruti jald hi is generation ko aab ek mild update dene wali hai.

Also read- Toyota Fortuner 2021 achieved 5000 bookings in just one month! - Still Segment King?

Upcoming changes in MARUTI SUZUKI Swift facelift -

Recently hi humne Swift ke facelift ko India me road test pe dekha tha aur sayad Maruti is facelift ko 16 ya 17 February tak launch kar sakta hai. Filhal Maruti  ki taraf se hume is topic pe koi bhi official statement nhi mila hai but jald hi Maruti iska official statement bhi release kar sakta hai. 

Is update me hume interior me koi bhi changes dekhne ko nhi milenge but exterior aur powertrain me bohut changes milenge. Front me hume ek honeycomb styled grille milegi jiske bich me hume ek horizontal slate dekhne ko milegi. Iske alawa exterior me hume alloy wheels ka bhi ek naya design dekhne ko milega. 


Agar baat kare powertrain ki to hume Swift facelift me naya aur jyada powerful engine dekhne ko milega.  Abhi swift me hume maruti ka 1.2-litre K12M four-cylinder naturally aspirated petrol engine milta hai jo ki 83 BHP ki power aur 113 NM ka torque generate karta hai. Lekin facelift model me hume 1.2-litre K12N DualJet four-cylinder naturally aspirated petrol engine milega jo ki 90 BHP ki power aur 113 NM ka torque generate karega. Pricing me hume jyada major update dekhne ko nhi milega


THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments