Mercedes ne apni C-class ke 5th generation ko reveal kar diya hai. Ye Mercedes Benz C-Class 2022, jordar interior aur latest technology ke saath aati hai jo ki S-class pe based hai.
Nayi C-class me 2 body types aate hai - Sedan aur estate. India me sirf Sedan type hi aayga.
ALSO READ :- Why Petrol price are continuously increasing in India ?
Mercedes Benz C-class 2022 ka ek quick look vedio :-
Exterior :-
- Exterior me hume thode se changes hua hai jasie ki hume front me nayi front grille, nayi bonet design aur stylish LED headlights dekhne ko milte hai.
- Iske wheelbase ko bhi 25mm aur boot space ko 30 litres badha diya gaya hai aur iski total length 65 mm badh gayi hai jisse iss gadi me space badh gaya hai.
- Isme 17-19 inch ke wheels aate hai.
ALSO READ :- Why Toyota is Rebadging Suzuki cars in India?
Interior and Features :-
- Ye C-class jordar interior aur latest technology ke saath aati hai. Iske interior me hume center console pe 11.9-inch ka tablet size touchscreen MBUX Infotainment system aata hai aur dashboard pe 12.3-inch LCD digital instrumental cluster aata hai.
- Hume isme Fingerprint technology, naya massage seats, naya steering wheel, built in fragrances aur naya stylish AC vents dekhne ko milte hai.
- Iss 5th generation C-Class ko agar hum wrong side me drive karte hai tooh iski headlight wrong side ko detect karke hume warn karti hai. Yaha tak iski technology se hum ye bhi pata laga sakte hai ki hamre gar me kon hai.
Engine :-
- Hume isme pheli bar hybrid option bhi milta hai. Isme 5 petrol aur 2 diesel options aate hai.
- Iske entery level variant C180 me 1.5 litre ka petrol engine aata hai jo 167 Hp ki power aur 250 Nm ka torque produced karta hai.
- C200d -4 MATRIC models aate hai vooh same engine ke saath aat hai lekin vooh 201 hp ki power aur 300 Nm ka torque produced karta hai.
- Diesel models ki baat kare C200d jo ki entery level variant hai vooh 161 hp ki power aur 380 Nm ka torque produce karta hai.
- C200d 4- MATRIX model 197 hp ki power aur 440 Nm ka torque produced karta hai.
- Isme C300e model bhi ata hai jo ki electric motor aur 2.0 litre petrol engine se 308 hp ki power aur 550 Nm ka torque produced karta hai.
- Isme 25.4 kwh ki battery aati hai jo ki 50-100 km ki range provide karti hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments