TVS APACHE RR 310 price increased - still cheaper then KTM RC390?

 TVS MOTORS aur HEROMOTO CORP, dono Indian brands hai jo ki two-wheeler produce karti hai aur HEROMOTO CORP to World ka sabse bada Two-Wheeler manufacturer hai. Aur TVS MOTORS Indian market ka ek bohut bada brand hai. Aur TVS ki Apache ek bohut successful product ban chuka hai. TVS, Apache ko humesha se sabse powerful, fun to ride aur competition se sasti banane ki kosis karta hai. Aur yahi bohut reasons me se ek reason hai Apache ki success ka.

ALSO READ :- Best 7 seater car's under 10 lakhs in India

TVS APACHE RR 310 price increased -

Kuch Media reports ke according TVS Apache RR 310 ki price me ₹1,990  ka increment hua hai aur aab ye bike ₹2.50 lakhs se start hoti hai aur KTM RC390 jo ki iska sabse bada competition hai usse ye 10,000 sasti hai. KTM RC390 ki price ₹2.60 lakh se start hoti hai. 


TVS ki taraf se Apache RR 310 ki price increase karne ke uper koi bhi official statement nahi aaya hai but TVS ki official site pe Apache ki price badha di gai hai. January 2020 me TVS ne Apache RR 310 ki price pe ₹5000 ka increment kiya tha us time is bike me kuch minor changes kiye gae the. 


Is baar ke increment ke baad bike me kuch bhi change nhi kiya gaya hai. Is bike me hume 312.2 CC ka liquid-cooled single-cylinder engine milta hai jo 34 PS ki power aur 27.3 Nm ka torque produce karti hai aur iske sath hume 6-speed ka transmission milta hai. Aur issi ke sath safety ke liye dual channel Anti Lock Braking (ABS) system milta hai.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments