Ye X3 line up ka base variant hai jo ki India me Rs 56.50 lakh ki price me launch kiya gaya hai.
Since ye ek entry-level variant hai to isme kuch ache features ko cut kiya gaya. Iss car ka production India me hi hoga aur iske production Chennai me hoga.
Exterior :-
ALSO READ :- Best 7 seater car's under 10 lakhs in India
- Iske front me hume grille pe black gloss finish elements, LED headlights, automatic headlights, tail-lights, fog lights aur automatic wipers dekhne ko milte hai.
- Ye 18-inch ke stylish alloy wheels aur panoramic sunroof ke saath aati hai.
Engine :-
- Isme 2.0 litre, 4-cylinder turbo-petrol engine aata hai jo ki 252 Hp ki power aur 350 Nm ka torque produced karta hai.
- Ye engine 8-speed automatic gearbox ke saath aata hai.
ALSO READ :- Toyota launched its MVP Hiace in India
Interior and Features :-
- Iska premium interior me hume premium features dekhne ko milte hai.
- Hume isme 8.8-inch ka touchscreen infotainment system (jo ki Android auto aur apple car play ko support karta hai), 5.7-inch MID display, Hi-fi speakers, three-zone climate control, wireless charging jaise features aate hai.
- Isme hume iske welcome carpet pe ambient lighting ke saath LED door projectors( jo ki 'X' ko project karte hai door opening pe) dekhne ko milte hai.
Offer :-
- Offer ke according, Iss car ko 28 February 2021 se phele book karne par hume upto 1.5 lakh ke benefits dekhne ko milge.
- Iss offer ke benefits both inclusive service aur exclusive service me bhi included hai.
- Iske benefits me all maintenance work, BMW original parts aur oil service 3 years/40,000 kms tak , BMW display key, 2.5 PM air filters, LED Door projector aur universal wireless charge included hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments