Kya kabhi apne socha hai Baleno aur Glanza ya fir Vitara Brezza aur Urban Cruiser ek jesi kyu dikhti hai? Is sab ke piche ek chiz hai jo hai car rebadging ya fir rebranding. Apko lagta hoga ki ye koi naya tarika company walo ka designing pe spend karne se bachne ke liye lekin ye bohut purane time se chalta aa rha hai. Sabse pahle hum baat karte hai akhir ye Rebadging hota kya hai.
What is Rebadging?
Rebadging ya fir badge engineering ke ander 2 companies partnership karti hai aur ek company dusri company ko apni kisi bhi car ke uper badge ya fir trademark change karke sell karne ke rights deti hai. Aur is rebadged car ko companies market me different model ki tarah launch karti hai aur marketing karti hai. Isse cars ki sales bhi increase hoti hai aur car ko design karne ki cost bhi khatam ho jati hai, lekin is process me koi bhi new innovation present nhi hota hai.
Types or Degrees of Rebadging -
Rebadging ki teen degrees hoti hai. Jisme se first degree ke under sirf car ka logo change kiya jata hai aur koi bhi styling ya fir mechanical updates nhi kiye jate hai.
Agar hum baat kare second degree ki to isme hume first degree ke sath sath styling me bhi minor changes dekhne ko mil jate hai. Aur third degree me hume styling ke sath sath mechanical changes bhi dekhne ko mil jate hai. Lekin third degree bohut kam times pe hi prefer kiya jata hai.
Advantages of Rebadging -
Automobile industry me Rebadging ke bohut sare advantages hai -
Kisi bhi car ko develop karne ke liye ₹500-800 Crore ka estimated cost aata hai vahi dusri taraf kisi car ko rebadge karne ke liye jo tools banane ka kharcha hota hai vo sirf ₹20 Crore ke approx hota hai. Nayi car ko develop karne aur manufacture karne ki cost ko reduce karne ke liye badge engineering ek bohut badiya technique hai. Kyuki kisi bhi machinery ko retool karna nayi machine banane se bohut cheap hota hai. Sath hi me cars me majority of the parts reuse kiya jaate hai jo ki economical cheaper solution hai.
Disadvantages of Rebadging -
Har chiz ke advantages ke sath sath disadvantages hote hi hai. To aab hum baat karte hai brand engineering ke kuch disadvantages ki -
Kisi bhi badge engineered car ki marketing sahi tarike se hone bohut jaruri hai, kyuki agar in models ki marketing kahi bhi lack karti hai to ye models apni ek seperate identity banane me fail ho jate hai. Aur ek sabse bada disadvantage ye bhi hai ki brand engineering se company ki innovation khatam ho jati hai jo ki long term me company ki image ko long term me bigad sakti hai iska sabse bada example hai Chevrolet motors.
Next blog me hum apko bataenge India ki most popular Rebadged cars ke bare me. Tab tak ke liye stay tuned.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments