5 cars with maximum waiting time in India - March, 2021

 Indian car market me kuch cars abhi bohut jyada dhum macha rahi hai. 2020 me indian car market me bohut sare interesting launches hue, jese ki Mahindra Thar, Nissan Magnite aur Hyundai Creta. Nissan Magnite ne Indian car Market me Nissan ke liye ek savior ka kaam kiya hai. Lekin abhi chal rahe pandemic ke karan car ke parts ke production aur car manufacturing ki speed slow ho gai hai aur issi karan kuch cars ka waiting period bohut lamba ho gaya hai. Aaj hum discussion karenge 5 esi cars jinka waiting period march, 2021 me sabse jyada hai. 

ALSO READ :- Skoda Kushaq Production model revealed : Powerful in the segment ?

1. Mahindra Thar - 



New generation Mahindra thar, october 2020 me launch ke baad se hi kari popular ho gai hai. Aur iski demand bohut jyada ho gai hai. Mahindra apni thar ke sath deta hai do engine options - pehla hai 2.2-litre ka mHawk diesel engine aur dusra hai 2.0-litre ka turbo-petrol engine. Currently thar sabse jyada waiting period wali car hai. Is waiting period ko kaam karne ke liye Mahindra thar ko bina infotainment system ke bhi deliver kiya ja rha hai. 

2. Nissan Magnite -



Nissan Magnite india ki sabse popular segment compact SUV segment ki car hai. Aur Magnite launch ke baad se hi apni price aur features ke karan bohut popular ho gai hai. Sabse jyada demand hai Magnite ke base varient ki, jiski price hai ₹5.5 lakhs(ex-showroom). Nissan Magnite me hume diesel engine ka option nahi milta hai but petrol ke do engine milte hai. Ek hai 1.0-litre ka turbo-petrol engine aur dusra hai 1.0-litre ka naturally aspirated engine. 

3. Maruti Suzuki Ertiga -



Maruti Suzuki Ertiga, maruti ki taraf se offer ki jane wali budget MPV hai. Maruti Suzuki ki is 7-seater ko bhi bohut demand mil rahi hai. Ye car sasti hai sath hi me Maruti Suzuki ki reliability aur service network is car ki sales ka sabse bada reason hai. 

4. Hyundai Creta -



Hyundai ne Creta ka new generation launch kiya tha 2020 me aur Creta to starting se hi bohut popular car rahi hai. Aur new generation creta me bohut Sare features diye gae hai aur Hyundai ki cars ki premium cabin bhi cars ko sell karne me bohut madad karta hai. 

5. Kia Sonet - 


Sonet india me kia ki third car thi. Seltos aur carnival ki success ke baad kia indian market me ek jana pachana naam ban chuka hai. Sonet bhi compact SUV segment ki car hai. 

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast_

Post a Comment

0 Comments