BMW ne apni ek aur fully electric car ke production spec ko reveal kr diya hai, BMW i4. Ye car Tesla model 3 se compete kregi.
Ye car luxurious, eye catching ke sath sath powerful bhi hai. Iski puri details BMW ne abhi batayi nhi hai aur full details aane vale kuch weeks me dekhne ko mil sakti hai.
Exterior :-
Ye 4-door gran coupé look ke sath aati hai. Isme hume front me kidney style me grille aati hai jo ki Blue trim se highlight hai.
Iske side me hume amazing aur stylish alloy wheels dekhne ko milthe hai. Iske charo side me Blue colour trim ka use bahut sahi kiya hai aur usse gaadi ka look aur bhi attractive ho gaya hai.
ALSO READ :- Skoda Kushaq Production model revealed : Powerful in the segment ?
Interior aur features :-
BMW brand ne iske interior aur battery ki exact details ko bataya nhi hai aur vooh hume iski launch ke waqt pata chal sakta hai.
Iska interior bahut hi luxurious hai. Iske infotainment system me hume eighth-generation iDrive operating system milta hai jisse ki physical controls reduce ho gaya hai.
ALSO READ :- 2021 Mercedes-Benz E-Class launched in India
Power train and Range :-
Isme 80 kWh ki battery aati hai jo ki single charge me upto 590 Km ki range provide krti hai aur isme lagi electric motor, 530 Hp ka power produce krti hai. Ye 0-100 sirf 4 sec me achieve kr leti hai aur iski top speed 200 Km/hr hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast_
1 Comments
Enjoyed the article, really explains everything in detail, it is very interesting and useful at the same time. Keep up the good work. Electric Wire Rope Hoist. Thank you.
ReplyDelete