Citroen C5 Aircross's official price announcement in april, 2021 : Booking started in India!

Indian automobile market currently sabse jyada potential wala market hai aur kafi sari companies apne new products ke sath isme enter kar rahi hai. Is market me sabse latest Citroen apni Premium SUV C5 Aircross ke sath entry le raha hai. Ye car compete karti hai Jeep Compass, MG Hector aur Tata Harrier jaisi gadiyon ye. 

Also read- Swift facelift 2021 launched !

Citroen C5 Aircross Booking started -

Citroen ne C5 Aircross ki booking start kar di hai aur 50,000 ka booking amount rakha gaya hai. C5 Aircross ki official prices April ke first half me announce kar di jaegi. 



Launching ke sath hi Citroen ne sales aur service pe dhyan dete hai Delhi aur Gurugram me company ke flagship showroom La Maison Citroen ki opening kari hai. Sath hi me new showrooms ko Phygital bola gaya hai kyuki in showrooms me physical car ke sath sath online experience jisme high definition 3-D car configurator dekhne ko milega. Sath hi me Citroen ne Mobile La Maison bhi banae hai jo different cities me travel karke owners ko real showrooms ka experience provide karenge. 


More about Citroen C5 Aircross SUV -



Agar baat kare C5 ki to ye car ek completely knocked down (CKD) product rahega jiski price hum ₹30 lakhs tak expect kar sakte hai. Is car me hume kafi segment leading features milte hai. Jisme sabse pehle baat kare rear seat ki to C5 Aircross ki rear seat kafi hi unique aur comfortable hai. Rear seat me hume hand rest dekhne ko nhi milta hai but rear seat proper 3-seater hai aur 33:33:30 ke format me split ho sakti hai. C5 Aircross ke sirf do variants hai jinka naam hai - FEEL aur SHINE. Top varient me hume daytime running LED lamps, LED taillights aur 18-inch ke alloy wheels dekhne ko milte hai. 

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments