Hyundai, Indian car market ka ek bohut bada naam hai. Hyundai ne apni journey ko Indian market me 1998 me Santro ko launch kar ke kari thi aur 2014 ke baad se Hyundai ne Indian market me bohut achi pakad bana li hai. Hyundai ki cars unki premium quality aur features ke karan bohut popular hai. Abhi Hyundai India me apni pehli 7-seater SUV Alcazar ko launch karne ki taiyari kar raha hai. Ye car Hyundai ki sabse popular car Creta pe based hai. Hyundai ki Indian lineup me ye car Creta ke uper aur flagship SUV Tucson ke niche position kari jaegi.
Why is Hyundai Alcazar?
Hyundai alcazar, Hyundai ki India me pehli 7-seater SUV hone wali hai jo ki Creta par based hai aur ye car directly Mahindra XUV500, MG Hector Plus aur Tata Safari ke sath compete karegi. Agar baat kare car ke design ki to front se Alcazar same Creta jaisi hi dikhegi bas isme hume jyada chrome ka use dekhne ko milega ho ki Alcazar ko ek premium look dega.
Also read - Swift facelift 2021 launched !
Agar baat kare side profile ki to side se bhi Alcazar me kuch jyada changes nhi dikhenge bas car thodi si lambi hogi taki 3rd row ki seats fix ho sake. Aur alloys ko bhi sayad new design mil sakta hai. Rear profile me sirf Taillamps ki design change hogi aur tailgate thoda jyada straight hoga. Agar baat kare ki Hyundai Alcazar me segment competition se jyada acha kya hai? To hume isme second row me captain seats ka option milta hai aur sath me hi second row me hume centre console armrest milta hai jisme hume ek wireless charging pad aur do cup holder milte hai. Alcazar ke bare me aur jyada information ke liye padhe - spotted again the 7-seater Hyundai creta!!
When will Alcazar launch?
Alcazar ki expected launch date pehle 2022 me batai jaa rahi thi but abhi kuch sources ke according ye car hume June 2021 me Indian market me dekhne ko mil sakti hai jo ki sabki expectations se bohut jaldi hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments