Reason why Honda City sells so well! - Should i buy Honda city in 2021

 Honda city India ki ek bohut popular non Maruti Suzuki car hai. Honda City bohut baar apne segment me best selling car banti rahi hai aur banti rahegi. Is popularity ka reason hi City ka loyal fanbase. Aaj hum baat kare ki Honda City me esa kya hai jo isse itna popular aur successful batana hai.


Usse pahle aap sab ke liye ek important news aur hai, agar ap sabko hmare blogs pasand aate hai aur ap apne aap ko latest blogs ke liye updated rakhna chahte ho to niche right corner pe jo bell icon hai usko dabake next window pe allow click kare taki aap hamare sare blogs ke notifications paa sake. 


3 Reasons why Honda City sells so well - 

1. First Mover Advantage -




Honda City, Honda ki Indian Market ke liye sabse pahli gaadi thi aur Indian Market me us time pe jyada sedans available bhi nahi thi jo ki City ke liye sabse bada advantage raha. But is kam competition me bohut strong rival the jese ki Maruti Baleno aur Mitsubishi Lancer, but jese hi City ne market me apni popularity gain kari, sare rivals ki sales kaam hoti gai.

2. Availability of Brilliant Engines - 



Honda ko sabse jyada apne petrol engines ke karan hi jana jata hai aur Honda City ke har generation me hume petrol engine dekhne ko milta tha. Is petrol engine ka naam hai I-VTEC, ye engine kafi hi powerful aur fuel efficient hai. VTEC engine ka magic hamesa se hi raha hai. new Generation Honda City me bhi ye engine milta hai jo 7200 RPM pe redline karta hai aur 119 PS ki power generate karta hai. Sath hi 17.4 KMPL ka claimed mileage bhi deta hai.

3. Practicality as the first priority -


Honda city me hume kafi sare features milte hai aur sath hi me Honda City bohut spacious bhi hai. Honda ki Man Maximum Machine Minimum philosophy ka matlab hai ki Honda City me bohut space. Honda City aur Hyundai Verna ka wheel base approximately same hone ke baad bhi Honda City me rear seat space kafi acha hai.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

1 Comments

  1. Your blog is really good. This information is really useful for those who have searched for this and you have great knowledge about this. I’m really impressed with your post.Used Engine for Sale

    ReplyDelete