2021 me Indian automobile market me sabse jyada competition hai sub 4-meter compact SUV segment me hai. Indian market me kaam karne wali har company ne is segment me apni atleast ek car launch kari hui hai. Sari companies is segment me apki sabse feature loaded car launch karne ki kosis kar rahi hai. Lekin is segment me kuch change lane ke liye Nissan aur Renault ne sabko follow nahi karte hue kuch naya try kiya.
Nissan aur Renault ne feature loaded Compact SUV banane ki jagah affordable cars is segment me launch kari hai. Jab Nissan Magnite launch hui thi tab Mangite sabse sasti aur affordable SUV 4-meter car thi. Aur issi reason ke karan Nissan ko sales me kafi improvement dekhne ko mila. Jaha Nissan ki dusri cars bilkul bhi ache sales figure nhi dikha rahi thi, Nissan ne February, 2021 me Magnite ke 2,991 units sell kiye the. Lekin Magnite ke launch ke kuch hi time baad Renault ne apni Kiger ko launch kiya jo ki Magnite se bhi sasti hai. Aur issi karan se Kiger ne Magnite ki sales ko ek hi mahine me outsell kar diya hai. February, 2021 me Renault ne Kiger ke 3,226 units sell kiya hai. Lekin Renault ne launch ke pehle se hi booking start kar di thi to sayad upcoming months se ye numbers kam pad sakte hai.
Agar hum baat kare is segment ki dusri cars se to ye sales number bohut kaam hai kyuki Maruti suzuki ne February, 2021 me Vitara Brezza ki 11,585 units sell kari vahi same month me Hyundai ne Venue ki 11,224 units sell kari thi. Lekin ye cars bohut popular hai aur features aur size ke factor se dono ki cars Magnite aur Kiger se kafi lead me hai.
Also read - Reason why Honda City sells so well! - Should i buy Honda city in 2021
Will Magnite ever outsell Kiger?
Renault Kiger aur Nissan Magnite, dono ki cars CMF-A platform pe based hai. Dono cars looks me different hai but features approximately same hi offer karti hai. Engine options ki baat kare to dono hi cars me hume do engines dekhne ko milte hai. Ek engine hai 1.0-litre ka naturally aspirated engine ko produce karta hai 72PS ki power aur 96NM ka maximum torque. Second option hai 1.0-litre 3-cylinder turbo petrol engine. Lekin pricing ki baat kare to Renault Kiger ki price Magnite se kam hai aur Renault ke pass Nissan se kafi wide aur strong Dealership network hai. Ye strong dealership network Renault Kiger ko ye lead maintain karne me kafi madad karega.
THANK YOU, for reading!
0 Comments