Skoda ne finally apni upcoming SUV, Kushaq ke production model ko reveal kr diya hai. Ye SUV specially Indian market ke liye design ki gayi hai. Iski price hume Rs 9-15 lakh ke beech me ho sakti hai.
Ye SUV apne saath bahut hi ache features leke aati hai. Tooh bane rahi mere sath me aapko batungha ki ye gaadi apne segment me kyu best ho sakti hai?
Exterior :-
Skoda Kushaq look wise attractive aur unique hai iske segment me. Isme front me bahut badi grille hai jo ki side chrome ke sath aati hai. Grille ke side me hume LED headlamps jo ki DRLs ke sath hai aur LED headlamps ke neche lage hue Fog lamps.
Side me hume 10 spoke stylish alloy wheels aur iske higher variant me roof rails aur sunroof dekhne ko milti hai. Rear me stylish LED tail lights aati hai. Iske front aur rear, dono ke bumper me cladding aati hai.
Engine :-
Ye gaadi apne segment ki sabse jyada powerful gaadi hai. Isme hume two engine options milte hai :-
- 1.0-litre TSI petrol engine jo ki 115 PS ki power aur 175 Nm ka torque produce krta hai.
- 1.5-litre TSI petrol engine jo ki 150 PS ki power aur 250 Nm ka torque produce krta hai.
Ye engine 7-speed automatic aur 6-speed manual transmission gearbox options ke sath aati hai.
ALSO READ :- Upcoming Skoda cars in India in 2021
Interior and Features :-
Ye midsize SUV me hume dashboard pe carbon finish dekhne ko milti hai. Isme hume wireless charging, 10-inch Infotainment system ( jo Skoda connect ko support ke sath hai ), Ambient lighting, Dual spoke steering wheel, door sill lights, front ventilated seats, TFT screen, mobile pocket, jaise ache features aate hai.
Isme safety ki baat tooh hume 6 airbags, ABS, EBD, children ke liye ISOFIX hooks, jaise ache safety dekhne ko milte hai.
Rivals :-
Ye gaadi Indian market me Hyundai Creta, Kia Seltos, MG hector aur Tata Harrier se compete kregi.
0 Comments