Maruti Suzuki ne Dzire ko india me Esteem car ke replacement me launch kiya tha. Esteem khud ek market leading car thi par diesel engine ki kami ke karan Esteem ki demand kam hoti gai aur last me Maruti ne Esteem ko indian market me discontinue kar diya tha. Uske baad Maruti ne sedan segment me Dzire utari. Dzire, Maruti Suzuki Swift ke platform pe based thi aur isme swift se jyada bootspace tha baki dono cars same hi thi. Us time Dzire ki length 4-meter se jyada thi. Lekin jese hi 4-meters se jyada ki length pe extra taxes lagne lage Maruti ne Dzire ki length ko chota kar diya aur isse sub 4-meter segment me kar diya taki car ki price ko competitively rakha ja sake.
Abhi Swift Dzire apni third generation me hai. Aur aab Dzire ke looks me kafi improvement ho gaya hai. Sath hi me car kafi refined bhi ho gai hai. Sath hi me Dzire kafi hi jyada popular hone ke karan parts ki availability aur resale value kafi badiya hai. Filhal third generation ke under indian market me Dzire ka VXI varient sabse jyada bikta hai aur is varient ko sabse jyada value for money bhi bola jata hai. To kya kya features hume milte hai Suzuki Swift Dzire VXI - 2021 me dekhte hai is video me.
MARUTI SUZUKI Dzire VXI 2021 walkaround review in Hindi -
THANK YOU, for reading!
0 Comments