Hyundai, indian market me kam price me ek premium aur feature loaded car dene ke liye jana jata hai. Filhal Hyundai, indian market me second largest car manufacturer hai. First position abhi bhi Maruti Suzuki ki hi hai. Last year Hyundia ne kafi launches kiye the jese ki new generation creta, Aura, Grand i10 nios aur sath hi me i20 ki bhi nayi generation dekhne ko mili thi. Aur 2021 me bhi Hyundai ke plans bohut sari nayi cars launch karne ke hai. To konsi h vo 3 new cars jo Hyundai, indian market me launch karega -
Also read- Ford Ecosport SE launched in India
1. AX1 Micro-SUV -
Hyundai abhi ek new micro-SUV ko test kar raha hai. Jo ki directly compete karegi Maruti Suzuki S-Presso, Renault Kwid, Mahindra KUV100 jesi cars se. Aur is Micro-SUV ko AX1 ka code name diya gaya hai. Is car ko india me abhi tak spot nhi kiya gaya hai but international roads pe ye kai baar spot ho gai hai. Is car me hum split headlamp design milegi. Main headlights hume bumper pe milegi aur uper ki taraf ek LED DRL mil sakta hai. Aur is car ke rear door handles Maruti Suzuki swift ki tarah C-pillar pe milenge.
2. Hyundai Alcazar -
Hyundai alcazar, Hyundai creta ka 7-seater version rahne wala hai aur ye car bohut jaldi indian market me launch hone wali hai. Ye car kafi baar indian roads pe spot ho chuki hai. Ye car design me front se bilkul Hyundai creta ki latest generation jesi hi dikhti hai. Alcazar, Hyundai ki taraf se pahli 7-seater SUV rahne wali hai. Hyundai alcazar pe jyada information ke liye padhe - Hyundai Alcazar launch timeframe revealed : 7 seater Creta!
3. MPV -
Hyundai aab indian market me alag alag segments me cars launch kar raha hai aur issi karan se Hyundai filhal ek MPV pe bhi kaam kar raha hai. Is car ki official koi bhi details samne nahi aai hai. Na iska naam aur na hi baki details but spy shots ke according ye car bohut feature loaded hone wali hai. Is MPV ke under hume automatic climate control, digital instrumental cluster, captian seats, LED headlights mil sakti hai. Ye car compete karegi Toyota Innova aur Kia carnival se.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast_
1 Comments
😎😎😎😎😎😎😎😎😎😎
ReplyDelete