3 best in class features of upcoming Volkswagen Tiagun

2021 year automobile industry ke liye kafi exciting year hai. Is car kafi sari launches planned ki gai hai. Issi bich Volkswagen bhi apni compact size SUV Tiagun ko India me launch karne wala hai. Ye car Skoda Kushaq se platform share karti hai. Dono ki cars kafi jyada feature loaded hai aur apne competition jese ki Kia seltos aur Hyundai Creta se thodi mehangi rehne wali hai. Lekin is cars ki build quality aur driving dynamics kafi acha rahne wala hai. Lekin pure segment se aage nikalne ke kiye Volkswagen ne Tiagun me kuch ese Segment leading features diye hai jo abhi segment ki kisi bhi car me nahi hai. 

3 best features of Volkswagen Tiagun -

1. Digital instrumental cluster - 



Volkswagen Tiagun me hume as standard hi fully Digital instrumental cluster milega. Hyundai Creta me bhi hume Digital instrumental cluster milta hai lekin vo fully digital nahi hai aur vo sirf top of the SX(O) varient me hi milta hai. Skoda Kushaq me bhi semi digital instrumental cluster milta hai. 

2. Continuous LED Tail Lamp - 



Volkswagen Tiagun compact size SUV segment me aane wali pehli car hai jisme hume continuous LED tail lamp milta hai jo is car ko kafi hi futuristic look deta hai. Bohut Sare log apni Creta me aftermarket continuous LED lighting lagate hue dikhe hai to ye TIAGUN ke liye kafi acha feature rahne wala hai. 

3. Contrasting Interiors -



Volkswagen Tiagun me hume contrasting interiors dekhne ko milenge. Pure dashboard pe hume coloured panels milenge jo ki exterior ke colour me hi honge. 

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments