Citroen's second car coming soon this year in India

 Citroen ne recently hi Indian market me enter kiya hai aur apni pehli car C5 AIRCROSS ko launch kiya hai. Ye car Indian market me premium SUV segment me launch hui hai aur kafi hi pasand bhi ki jaa rahi hai. Iski rear seat me 33:33:33 ka split option bhi kafi badiya hai. Ab Citoen apni second car ki second car global market me May 22,2021 ko debut karegi aur issi saal 2021 me Indian market me launch hogi. 

Also read - Suzuki Swift Dzire VXI Video Review - Most value for Money? [Hindi]

Citroen subcompact SUV to come in India soon -



Citroen ki second car ko Indian roads pe bohut baar dekha gaya hai. Ye car india ki sabse competitive segment me launch hone wali hai. Spy shots ke hisab se ye car compete karegi Mahindra KUV100, Maruti Suzuki Ignis aur upcoming cars Jese ki Tata HBX, Hyundai AX1. Citroen ne is car ko CC21 ka codename diya hai. 

Features of CC21 -


CC21 ke interior me hume 3 spoke steering wheel milega, sath me hume centre me ek badi touchscreen infotainment system milega jo Android Auto aur Apple CarPlay dono ko support karega. Issi ke sath hume car me automatic climate control, rear parking sensor aur camera, keyless entry jese features dekhne ko milenge. 



Baat kare engine options ki to hume isme 1.2-litre ka turbo Petrol engine milega jo produce karega 100 PS ki power aur 160 NM ka max torque. Is engine ki sabse khas baat ye rahne wali hai ki ye engine Flexi-fuel system pe kaam karega. Jiska matlab ye hai ki ye engine petrol aur ethanol blends pe kaam karega. Ye Indian market ki pehli car hone wali hai is system ke sath. 

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments