Indian car market me bohut potential hai aur bohut Sare car makers indian market me enter ho rahe hai. Abhi recently ek French car maker Citroen ne apni latest car C5 Aircross ko indian market me unveil kiya tha. Is car me kafi Sare segment leading features mil jate hai. Iski rear seat kafi hi special hai. Isme hume 33:33:33 ka split option milta hai aur space bhi bohut hai kyuki rear seat ko ek tarike se 3 seats me divide kiya gaya hai. Citroen ne announce kiya hai ki C5 Aircross ko launch kiya jaega 7th April, 2021 ko aur ussi din C5 Aircross ki price bhi pata chal jaegi.
ALSO READ :- 2021 Tata Safari Walk around review in Hindi [Video]
Citroen's first car C5 Aircross to launch in India on 7th April
Citroen ne C5 Aircross ko kafi hi feature loaded banaya hai. Is car me hume 12.3 inch ka TFT display ka instrument cluster dekhne ko milta hai. Sath hi me 8 inch ka infotainment system milta hai jo Android Auto aur Apple CarPlay supported hai. Iske alawa hume panoramic sunroof, Dual zone climate control AC, Push button start, passive entry, electric tailgate jaise features mil rahe hai. Exterior me hume 18-inch ke alloy wheels milte hai. Headlights me hume LED projector setup milta hai. Aur sath me hi LED DRL ke sath LED turn Indicator milte hai. Taillights aur High mounted Stop lamp bhi LED hi milte hai.
ALSO READ :- Mercedes Benz A-class Limousine launched in India
Citroen C5's Engine options -
C5 Aircross Indian market me sirf ek hi engine option ke sath ho rahi hai. Ye engine hai 2.0-litre ka DW10FC diesel engine. Ye engine produce karta hai 177 PS ki power aur 400 NM ka torque. Is engine ko ek 8-speed automatic transmission ke sath offer kiya jaega. Future me hume Aircross me petrol engine ka option bhi dekhne ko mil sakta hai.
Rivals -
Citroen C5 Aircross india me compete karegi MG Hector, Tata Harrier aur Jeep compass jesi cars se. C5 Aircross ki expected price 25 se 30 lakhs hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
0 Comments