Sari Car companies ne apne March ke sales figure kal release kar diye the. In sales figure me sabse jyada suprising sales report MG Motors ki rahi hai. MG Motors ne March, 2021 me total 5528 units sell kari hai, jo ki company ki indian market me highest individual month domentic sales hai. Last year 2020 me MG Motors India ne total 1,518 units sell kari thi, last year ke mukable MG Motors ki sales me hume 264% ki positive growth mili hai. Last year ki kam sales ke bohut sare factors hai jese ki Lockdown, aur last year tak MG indian market me ek naya brand hi tha.
Also read - Citroen's first car C5 Aircross to launch in India on 7th April
MG Motors record highest ever sales in March, 2021 -
Sales ki is achievement pe MG Motors ke Director of Sales, Mr. Rakesh Sidana ne ek press release me kaha ki - "ye sales performance MG Motors ke liye kafi encouraging hai aur company apni production line ke badhte production ko dekh ke kafi khush hai". Sath hi unhone ye bhi kaha ki MG Hector ne march me 6000+ booking recieve kari hai. March, 2021 me MG Motors ne apni Hector aur ZS EV ki bhi maximum sales record kari hai.
MG apni sari cars pe maximum 2-3 months ka waiting time offer kar raha hai. Issi ke sath Mr. Sidana ne ye bhi kaha ki globally Semiconductor chips ki kami aur badhte hue corona cases ke karan MG Motors April, 2021 me kuch NPD's(no production days) bhi rakh sakti hai.
Also read - Volkswagen Taigun Production Spec revealed!
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
0 Comments