Hyundai ki luxury brand, Genesis ne apni pheli fully electric car ko unveil kiya hai. Ye sedan Genesis ki flagship G80 ka Electric version hai.
Iss car ko 2021 Shanghai Auto Show me showcase kiya gaya hai. Chalo iss car ke bare thoda aur jante hai. Ye car hume 500 km ki range provide kar sakti hai.
Exterior :-
Iss car ka exterior same hai standard G80 se. Iss roof pe hume solar panel dekhne ko milte hai. Ye look vise bahut hi appealing aur attractive hai.
Also Read :- Kia Sonet with new Kia Logo spotted before launch!
Power train :-
Hume isme dual motors dekhne ko milti hai jo ki 370 HP ki power aur 700 Nm ka torque produce karti hai. Ye 0-96 Kmph ki speed 4.9 seconds me achieve kr leti hai.
Hume isme four wheel drive ka option milta hai jo ki iski performance ko enhance karta hai. Hume isme charging ke 800 V ka charging system milta hai jo ki 350 kW ki speed se charge ke sakta hai.
Also Read :- Nissan Magnite achieves 50,000 booking milestone - 10,000 units delivered
Features :-
Hume isme V2L system milta hai jisse hum iss gaadi se external device ko bhi power provide kar sakte hai. Hume isme Action Noise control Road ( ANCR) systems aata hai jo ki outside ke sound ko anazlye karke, uska cancel out karne ke liye cabin me opposite sound produce karta hai.
Hume iske dashboard bahut bada infotainment system dekhne ko milta hai. Interior me bhi hume standard G80 vale features dekhne ko milte hai kuch changes ke sath.
Gensis In Indian Market :-
Hyundai ki luxury brand Gensis, Indian market me entery ho sakta hai. Gensis ki SUV aur India me spie kiya gaya hai.
Essa lagta hai ki India me sabse phele apni SUV launch ka sakte hai.
THANK YOU, for reading!
0 Comments