Indian market me filhal kafi sari 150 CC motorcycles available hai aur sab sales figure me kafi acha bhi perform kar rahi hai. Aaj hum baat karenge top 10 best selling 150 CC motorcycles ki. Jo in motorcycles ki total sale thi vo thi 1,26,967 units aur is sales me last year march 2020 ke comparison me 54% ki growth dekhne ko mili hai.
Also read - Fully Electric Genesis G80 revealed !
Top 10 best selling 150 CC Motorcycles in march 2021 -
Dusre number pe jo motorcycle hai vo hai Bajaj Pulsar 150. Bajaj Pulsar ki march me 29,556 units sale hui aur issi ke sath pulsar ne second position achieve kari hai. Iske baar Honda unicorn ne 23,235 units sale karke third position achieve kari.
Also read - 4 Yamaha Bikes Launching in 2021
Iske baad forth place pe aati hai Yamaha ki sabse popular aur bohut logo ki pehli pasand Yamaha FZ. FZ ko 16,500 new owners mile. Iske bad firse Yamaha R15 ko 7,000 units ki sale ke sath fir thik position achieve hui aur 6th position pe bhi Yamaha ki hi MT-15 rahi. MT-15 ki 6,472 units sale hui.
Seventh position pe rahi Hero Xtreme, total 3840 units ki sales aur hero Xtreme ki YOY growth rahi 1,879% jo ki kari hi impressive hai. Iske baare aati hai Bajaj Avenger Street 160 with 3074 units sold.
Last 2 bikes rahi newly launched Honda Hornet 2.0 with 2,058 units aur Suzuki Gizzer with 2,019 units ki sale.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
0 Comments