March 2021 me scooters ki sales kafi hi achi rahi. March 2021 me total 4.22 lakhs scooter ki sale hui. Is baar bhi scooters me highest selling scooter Honda Activa hi raha. March 2021 me Activa ki total 1,99,208 units sale hui hai. Activa ki sales total scooter sales me 47% share rakhti hai. Activa ki sales me hume YOY March 2020 ke comparison me 74% ki growth mili hai. Last year covid-19 ke karan lage lockdown ke karan se Activa ki sirf 1,14,757 units sale hui thi.
Also read - 4 Yamaha Bikes Launching in 2021
Best selling scooters in March 2021 -
Honda Activa ke baad TVS Jupiter ne ek baar fir se second position in best selling scooters chart achieve kari hai. March 2021 me Jupiter ki total 57,206 units ki sale hui. Is chart me third aur forth occupy kari hai world largest two Wheeler manufacturer Hero ne. Third position pe hai india ki favorite 125 CC scooter Access 125 ne jiski total 48,672 units sale hui aur next position pe hai Hero Pleasure with 28,500 units sold.
Fifth position pe aati hai TVS NTorq 125 with 26,851 units sold aur sixth position aati hai Honda Dio ki. Honda ne Dio ki March 2021 me 22,677 units total sale kari. Iske baad seventh position achieve kari hai Hero Destini 125, eigth position pe hai Suzuki Burgman Street, ninth position achieve karne wale scooter ka naam Yamaha RayZR. Last scooter hai Hero Maestro Edge with 8005 total units sold.
Also read - Fully Electric Genesis G80 revealed !
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
0 Comments