Global NCAP ya fir new car assessment program ek car safety test karne wali organization hai. NCAP har country ke safety rules ke according cars ka crash test karta hai aur safety rating deta hai. Global NCAP ne recently Africa ke liye ye crash test kare the aur iske results ke according Made in India Mahindra XUV300 ko Africa ki sabse safe car bataya hai. XUV300 ko NCAP ne India me bhi 5-star rating di thi. india aur Africa, dono hi counties me hume same hi safety rules dekhne ko milte hai.
GLOBAL NCAP crash test result-
XUV300 compact-SUV ne crash me adult passenger ke liye 5-star safety rating aur children ke liye 4-star safety rating score kiye hai. Ye same rating hi hume India me bhi dekhne ko milti hai.
Is test me Indian made XUV300 ki body shell ko 'stable' rate kiya gaya aur footwell area ko bhi 'stable' rating di gayi hai. Is crash test me use kari gai car me ABS aur dual airbags bhi the kyuki ye XUV300 me standard equipment me aate hai. Sath hi me front passenger protection ke liye sare parameters me XUV300 ko 'good' ki rating di gai hai. Aur driver ke liye bhi hume left leg protection aur chest protection ke liye 'adequate' ki rating di gai aur baki sare parameters me hume 'good' ki rating hi mili.
Agar hum baat kare XUV300 ki, to ye car hume India me abhi 2 engine options, pehla hai 1.2-litre turbo petrol engine jo ki 110PS ki power aur 200NM ka torque generate karta hai. Ye Engine abhi sirf 6-speed manual gearbox ke sath hi aata hai. Dusra engine hai 1.5-litre ka turbocharged diesel engine jo ki 117PS ki power aur 300NM ka massive torque generate karta hai aur ye Engine dono 6-speed manual gearbox aur 6-speed AMT ke options me available hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments