Renault Kiger 2021 - Cheaper than magnite?

Renault ne recently apni compact SUV Kiger 2021 edition ko unveiled kiya hai. Ye compact SUV apne segment ki most affordable SUV hai aur iski price, 5.49 lakh se start ho sakthi hai. Renault apni compact SUV Kiger 2021 edition ko Indian market me March 2021 me launch kregha aur iski price me koi changes honge tooh vooh hume launch ke waqt pata chal jaegha. 


Exterior

  • Exterior ki baat kare, tooh front me isme stylish LED DRLs ke saath fasionable headlights dekhne ko milthe hai. Ye iss SUV ke look aur bhi attractive banate hai. Hume isme  Chrome finish dekhne ko milthi jo ki dono LED headlights ko join karti hai aur vaahi beech me hume Chrome style me Renault ka large logo dekhne ko miltha hai. 
                                        

  • Rear me hume C-shaped headlights dekhne ko milthi hai vaahi hume dual-tone ka bumper dekhne ko miltha hai.
  • Side ki baat kare tooh hume 16-inch ke alloy wheels dekhne ko milthe hai jinki size hai  195/65 R16. Iss SUV me hume Cladding gaadi ki all sides pe dekhne ko milthi hai aur hume bahut badi roofrail bhi dekhne ko milthi hai.

Interior

Interior ki baat kare tooh hume isme black theme interior dekhne ko miltha hai.Isme hume 8.0-inch ka touchscreen infotainment system ke saath 7.0-inch ka digital instrumental cluster bhi dekhne ko miltha hai. Isme hume Driving mode - Eco, Normal and Sport mode ke options bhi honge. Stroage space ki baat kare tooh isme 2 glovebox ke saath bada armrest aata hai. 

Features

  • Iss SUV me hume 8.0-inch ka touchscreen infotainment system aata hai joki Aneroid auto aur Apple card play ke support ke saath aata hai. Ye voice compands ko bhi support karta hai.
  • Hume isme keyless entry, automatic climate control , air filter, wireless changing, reverse parking camera, push start button aur ambient lighting jasie features bhi dekhne  ko milthe hai.
  • Higher variants me hume Driving mode - Eco, Normal and Sport mode dekhne ko milthe hai.

Engine 

Ye compact SUV 4 engine aur gearbox options ke saath aati hai. 
  •  1.0 litre, 3 cylinder naturally aspirated petrol engine ata hai joki 72 bhp ki power aur 96 nm ki torque produced karta hai aur ye 5-speed manual aur automatic gearbox options ke saaath aayghi.

  •  1.0 liter Turbo litre, 3 cylinder turbo petrol engine ata hai joki 100 bhp ki power aur 160 nm ki torque produced karta hai aur ye 5-speed manual aur automatic gearbox options ke saaath aayghi.

Ye Compact SUV Kiger 2021 Edition market me Nissan magnite, Kia Sonet, Maruti Suzuki Vitara Bezza, Hyundai Venue, Tata Nexon jasie cars ko acha competition deghi.


THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast







Post a Comment

1 Comments

  1. A very delightful article that you have shared here. Your blog is a valuable and engaging article for us, and also I will share it with my companions who need this info, Rubber Tracks for Caterpillar Thankful to you for sharing an article like this.

    ReplyDelete