India me car kharidna aaj bhi ek bohut bada emotional moment aur commitment hai. Isliye hum log esi car dhundhte hai jo ki spacious ho, badi ho aur sasti mile. Isliye India me 7 seater cars kafi popular hai. But 7 seater cars spacious hone ke sath sath mehangi bhi hoti hai jo ki kafi logo ke budget se bahar ho jati hai. To aaj hum is blog me discuss karenge 3 esi 7-seater cars ko ki Indian market me 10 lakhs se kam ki price me mil jati hai.
Seven seater cars below 10 lakh in India -
1. Renault Triber -
Hamari is list me Renault Triber sabse top pe hai. Ye car sabse sasti 7-seater SUV hai jo ki Indian market me available hai. Is car ke price 5.20 lakh se shuru hoke 7.50 lakh tak jati hai. Ye sari prices Ex-showroom hai. Itni sasti hone ke Renault ne isme kafi chota 1.0-litre ka engine diya hai jo ki is car ko kafi underpowered feel karata hai, but jaldi hi Renault, Triber me ek turbocharged engine offer karega jisse ye problem dur ho jaegi. Aur sath hi me is car ki length 3990 MM hai jisse ye car under four-meter segment me aati hai to isko taxes me bhi relaxation mil jata hai.
2. Mahindra Bolero -
Mahindra Bolero, Mahindra ka kafi hi popular product hai. Bolero ke base varient ki price 9 lakh ke approx hai to ye car bhi hamari list me aa jati hai. Is car ki design thodi purani aur boxy hai par space ke mamle me koi kami nhi hai. Is car me hume utna acha refinement bhi nhi milta hai. But Indian villages me Bolero kafi hi achi aur rugged sabit hoti hai jo ki iski sales ka sabse bada reason hai. Agar aap abhi Bolero lene ki soch rhe hai to ye apke liye bilkul sahi time hai kyuki next year hume Bolero ka updated version dekhne ko milega. Aur uske sath hi iski price bhi badhegi aur sayad fir Bolero hume is list me dekhne ko na mile.
3. Maruti Ertiga -
Maruti Suzuki Ertiga apki location ke hisab se apko 10 lakh se niche mil sakti hai. Kuch cities me iski price 10 lakh se uper hai but difference jyada significant nahi hai. Is car ke sath apko Maruti ki reliability aur vapis bechne pe achi resale value mil jaegi. Aur sath hi me acha engine refinement aur mileage mil jaega. Ertiga kafi hi spacious aur comfortable car hai jisko aap long drives ke liye bhi use kar sakte hai bina mileage ki tension liye. To ye thi hamari list best 7-seaters ki jo Indian market ke hum 10 lakh se kam me milti hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments