Toyota ne Indian market me apni MVP, Hiace ko launch karne vala hai. Toyota Hiace ek 14 seater van hogi jiski price Rs 55 lakh (ex-showroom) hai. Ye MVP luxurious nhi hai so hume isme premium features aur premium interior dekhne ko nhi milga.
Toyota isko India me import karega aur iske first batch me total 50 units hogi jo ki Indian stores pe aagayi hai. Toyota India me Hiace ka 5th generation leke aya hai jo ki bahut purana aur simple hai vaahi international market me hume iska 6th generation dekhne ko milta hai.
Hume iska sirf ek variant dekhne ko milga - GL trim. Ye MVP mainly tourist purpose, family trip aur travel agents ke use me aaygi.
EXTERIOR
- Toyota Hiace, Indian market me 2 colour options ke saath aati hai - White aur Silver.
- Iske front me hume chrome finished grille aur halogans headlamps aata hai aur saath hi hume isme body colour cladding, large windows aur rear defogger dekhne ko milta hai.
ENGINE
- Hume isme 2.8 litre, 4-cylinder turbo-diesel engine aata hai jo ki 151 Hp ki power aur 300 Nm ka torque produced karta hai.
- Ye engine ke saath hume 6-speed automatic gearbox dekhne ko milta hai.
INTERIOR AND FEATURES
- Hume isme simple design interior ke saath14 seats aati hai jisme driver aur co-driver included hai. Front me bahut space dekhne ko miltha hai kyuki iska gear selector dashboard pe aata hai.
- Isme hume 2 DIN ka audio system aata hai jo ki USB, CD aur AUX ko support karta hai.
- Isme hume aur bhi features dekhne ko milthe hai jasie ki power steering, power windows, each row me AC vents, power sliding door aur semi-reclining seats.
- Hum isme boot space ko increase karne ke liya last row seats ko down kar sakte hai.
- Hume isme saftey ke liya dual front airbags, ABS EBD dekhne ko miltha hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates
0 Comments