Kia's upcoming cars in India in 2021!

August,2019 me Kia ne India me seltos ko launch karke Indian market me entry kari thi aur launch ke kuch hi time baad kia ne Indian market me bohut achi image bana li aur Hyundai Creta jesi segment leading car ki sales pe bhi bohut bada asar dala tha jo ki bohut badi badi companies bhi nhi kar pai thi. Kia seltos ki success ke baad kia ne India me 2 aur products jo ki carnival aur sonet launch karke apne Indian lineup ko teen cars ka bana diya. Ab kia 2021 me is line up ko aur bhi bada karna chahta hai to chaliye dekhte hai ki kia 2021 me aur konsi cars launch karega.

Upcoming kia cars in 2021- 

1. Kia Sorento -


Sorento Kia ka bohut purana product hai. Jo ki company ke liye bohut hi successful bhi raha hai. Ye car kia ne 2002 me launch ki thi. Or emmision norms me changes ke karan car me bohut changes bhi hua par kia ne car ko exterior aur features ke mamle me kafi hi loaded rakha aur is vajah se ye car aaj bhi itni popular hai. Aur isliye ye car 2021 me India me bhi launch ho sakti hai.

Kia Sorento ki price India me 20 lakh se 30 lakh ke bich ho sakti hai aur ye directly jeep compass se compete karegi. Ye car abhi tak India me spot nahi hui hai to jyada bata pata mushkil hai.

2. Kia Seltos EV




India me electric cars ka craze dheere dheere badhata jaa rha hai. Tata Nexon abhi India ki best selling electronic vehicle hai. Aur India me electric vehicles ki sales me Tata sabse aage hai aur Tata motors India me electric cars ko leke kafi kuch planning kar rha hai, is saal bhi hume sayad Tata Altroz EV ka launch dekhne ko mil sakta hai. Agar apko iske baare me aur janna hai to niche wale link pe click kare - EV's from Tata Motors to cost not more than 20% the regular version

Agar hum baat kare Kia Seltos ki to ye car kia ki India me pehli car thi. Aur is car ne logo ki ummed se bhi achi sales report kari thi. Kia ka India me first product hote hue bhi Seltos ne segment king Hyundai Creta ki sales pe bohut bada effect dala tha. Ab kia, Seltos ke EV version ko India me launch kar sakta hai. Aur iski pricing Tata Nexon ko dhyan rakhte hue kafi hi competitively rakhi jaegi taki log ek badi EV car ki taraf attract hoye. 

3. Kia Carnival 2021 


Kia ne Carnival ko February 2020 aur is car me kafi sare features hai. Jiske karan ye car Toyota Innova ko competition de rahi hai. Lekin is car ka ek updated version global market me aa chuka hai. Aur hum ye expect kar sakte hai ki ye updated Kia Carnival 2021 hume jaldi hi india me bhi dekhne ko mil sakti hai.

THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast

Post a Comment

0 Comments