Ford Ecosport SE launched in India

Ford ne Indian market me apni subcompact SUV Ecosport me ek naya variant ko introduce kiya hai, Ecosport SE.


Ye gaadi do engine options ke sath aati hai - Diesel aur Petrol. Petrol variant ki price start hoti hai Rs 10.49 lakh (ex-showroom) se aur Diesel variant ki price start hoti hai Rs 10.99 lakh (ex-showroom) se.


ALSO READ :- Mahindra Thar v/s Jeep compass facelift : Who win in tug of war ?

Isme hume ek Major change dekhne ko milta hai jisme hume rear me tailgate-mounted spare wheel nhi aata hai. Ford ne iski jagah puncture kit provide kiya hai aur Ford claims krta hai ye kit tyre leaks ko easily sahi kr dega aur iss kit ho use krna bhi easy hai.


Look and Features :-



Nayi Ecosport SE ke exterior ki baat kare tooh hume isme 16-inch ke alloy wheels, HID headlamps, LED DRLs, aur rear wiper jo ki defogger ke saath aate hai, dual-tone rear bumper aur rear camera dekhne ko milta hai. Iske exterior me sabse major update yahi hai ki isme hume tailgate-mounted spare wheel nhi aata hai.


ALSO READ :-  Dual airbags in car are compulsory from 1 April 2021!!

Iske features ki baat kare tooh hume 9.0-inch ka touchscreen infotainment system, tyre pressure monitoring system, cruise control, powered sunroof, keyless entry, traction control, push start/stop button, hill assist, ABS with EBD, upto 6 airbags, Ford pass in car connectivity, rain-sensing wipers, Ford SYNC 3 8.0 inch infotainment system (jo ki android auto aur Apple Carplay, dono ko support karta hai) jaise ache features aate hai.

Engine :- 


Isme hume two engine options dekhne ko milte hai - Petrol aur diesel. Ye dono engine 5-speed manual gearbox options ke sath aate hai. Isme 1.5 liter ka petrol engine aata hai jo ki 122 Ps ki power aur 149 Nm ka torque produce krta hai. Aur 1.5 liter diesel engine aata hai jo ki 100 Ps ki power aur 215 Nm ka torque produce krta hai.

 

Ford Ecosport SE competition in India :-



Ford Ecosport SE India me Kia Sonnet, Tata Nexon, Nissan Magnite, Renault Kiger, Mahindra XUV 300, Hyundai Venue, Maruti Suzuki Vitara Brezza aur Toyota Urban cruiser se compete kregi.


THANK YOU, for reading!

Agar aapko hamare blog ache  lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates 
ke liye  hume instagram pe follow kare @carosiast_


Post a Comment

0 Comments