Mahindra Thar ko Mahindra ne last year December me launch kiya tha. Ye car launch ke baad bahut popular aur demanding car ban gayi thi. Thar me 2.2 litre turbo-charged diesel engine ke saath aati hai jo ki 130 Bhp ki power aur 320 Nm ka torque generate krta hai.
Jeep compass facelift bhi Jeep brand ki ek popular car hai. Ye 2.0 litre diesel engine ke saath aati hai jo ki 172 Bhp ki power aur 350 Nm ka torque generate krta hai.
Jeep compass ke engine ki power aur torque Mahindra Thar se jyda hai lekin iss tug of war me kya Jeep Compass jeetegi ?
Ye comparison YouTube ke Heat17 channel ne kiya hai. Iss comparison me Jeep Compass( automatic transmission) aur Mahindra Thar 4X4 (manual transmission) ko liya hai.
Jeep compass me 4X4 driving mode nhi aata hai isliye Mahindra Thar ke 4X4 driving mode ko nhi use kiya hai aur sare rounds 4X2 me hue hai.
ALSO READ :- Renault Kiger leaves Nissan Magnite behind in terms of sales in first month
Who wins ?
ROUND 1 :-
Phele round me dono car ke traction control system on hai. Jasie hi round start hua Jeep compass ne bahut struggle kiya lekin Thar ne slowly isko apni taraf kheech liya aur Jeet gayi.
ALSO READ :- Swift facelift 2021 launched !
ROUND 2 :-
Second round me traction control system ko off kiya gaya hai. Jasie hi second round start hua, fir se Jeep compass ne bahut struggle kiya lekin Thar ne slowly isko apni taraf kheech liya aur Jeet gayi.
Why Mahindra Thar wins ?
Surprise !! Mahindra Thar ne dono round jeet liye lekin Jeep Compass, power aur torque -dono me Mahindra Thar se jyda hai. Fir bhi Thar jeeti kyu ?
Reason :-
Mahindra Thar apne wider tyres ke karan jeeti . Wider aur ache tyres hone ki vagah se Thar ka ground se acha contact tha aur uska traction isse vagah se aur increase ho gaya tha. Aur Mahindra Thar jeet gayi.
THANK YOU, for reading!
0 Comments