Also read - Best selling scooters in India : March 2021
4×4 cars that you can buy in 2021 in India -
1. Toyota Fortuner -
Toyota fortuner ko abhi ek facelift update mila tha aur ye car abhi bhi segment King hai. Toyota Fortuner me hume 4×4 ka option milta hai. Fortuner aati hai do engine options ke sath. Ek hai 2.7-litre ka petrol engine aur ek hai 2.8-litre ka diesel engine. Fortuner ke aur bhi premium version Toyota fortuner Legender me hume 4×4 dekhne ko nahi milta hai.
2. Mahindra thar -
Mahindra ne Thar ki new generation ko 2020 me launch kiya tha. Is generation me hume kafi Sare changes mile the lekin fir bhi Thar ka Old school charm jinda hai. Mahindra thar me hume dono petrol aur diesel engine ke sath 4×4 system milta hai.
3. MG Gloster -
MG Gloster filhal MG kisi india me flagship SUV hai aur ye car total 5 options me aati hai jisme se 2 option hume 2 wheel drive milte hai aur 3 options me hume 4×4 system bhi milta hai. MG Gloster ke top varient me hume ADAS bhi milta hai.
4. Ford Endeavour -
BS6 emission norms ka sabse bada effect Ford endeavour pe pada tha. Phele endeavour me hume 3.2-litre aur 2.2-litre ke engine options milte the par BS6 norms lagne ke baad se Endeavour me hume 2.0-litre ka engine milta hai. Lekin engine capacity kam hone ke baad bhi endeavour ki offroad capabilities bohut shandar hai. Ye car segment se sabse jyada comfortable aur best drive quality deta hai.
5. Jeep compass -
Jeep compass ko bhi 2021 me update kiya gya tha. Is update se compass ke exterior me koi bhi bada change nahi aaya tha but interior ko completely change kar diya gaya tha. Jeep compass me bhi hume 4×4 ka option mil jata hai.
6. Mahindra Alturas -
Alturas filhal mahindra ki India me flagship SUV hai. Alturas dimensions ki terms me kafi hi badi hai aur iski third row me bhi kafi achi space mil jati hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
0 Comments