Land Rover ki famous 7-seater SUV, Discovery Facelift ka 2021 version India me bahut jaldi launch ho sakti hai. 2021 Discovery Facelift me hume updated exterior aur interior dekhne ko milte hai.
Ye gaadi two trims aur three varaient me aati hai .
Exterior :-
Iss 7-seater SUV ka look bahut hi appealing aur impressive hai lekin naya updated Variant aur bhi impressive aur appealing hai.
Iske front me hume nayi grille aur LED headlamps aate hai. Vaahi top variants me hume Matrix LED headlamps dekhne ko milte hai. Iske back me bhi hume updated LED lights dekhne ko milti hai.
ALSO READ :- Best selling scooters in India : March 2021
Interior and features :-
Ye SUV ke interior me bhi hume ache upgradation dekhne ko milte hai. Isme hume naya 11.4 inch ka touchscreen infotainment system jo ki Pivi Pro system ke sath aata hai. Iske sare variant me hume all wheel drive vala feature aata hai jo ki iski performance ko aur bhi enhance karta hai.
Features ki baat kare tooh hume isme wireless charging, digital instrumental cluster jo ki Apple CarPlay aur Android Auto ko support krta hai, 360 degree Parking camera, four-spoke steering wheel, etc. jaise ache features dekhne ko milte hai.
ALSO READ :- Cars with 4×4 that you can buy in 2021
Engine :-
2021 Land Rover Discovery Facelift, India me three engine options ke sath aati hai.
Two Petrol engine options :-
- 2.0 litre, four cylinder jo ki 300 HP ki power aur 400 Nm ka torque produce karta hai.
- 3.0 litre, six cylinder jo ki 360 HP ki power aur 500 Nm ka torque produce karta hai.
One Diesel Option :-
- 3.0 liter, six cylinder jo ki 300 HP ki power aur 650 Nm ka torque produce karta hai.
Ye sare engine options 8-speed torque converter automatic gearbox option ke sath aate hai.
Rivials :-
Iss gaadi ke rivials ki baat kare tooh ye gaadi Audi Q7, BMW X5, Mercedes-Benz GLE aur Volvo XC90.
THANK YOU, for reading!
0 Comments