India me filhal sub-4 meter compact SUV segment sabse jyada trend me hai aur sare car makers ne is segments me apni atleast ek ek car launch kari hui hai. Iske alawa aajkal premium hatchback segment bhi kafi trend me hai. Is segment me last year 2 new cars launch hui thi. Ek thi Tata Altroz aur dusri thi Hyundai i20 ki all new generation. March'2021 tak Hyundai I20 sales figure me Tata Altroz se aage thi but April'2021 me Altroz ab aage aa chuki hai.
Also read - 2021 Land Rover Discovery Facelift : India Launch
Tata Altroz surpasses Hyundai i20 in terms of April'21 sales -
March'2021 me Hyundai ne i20 ki 9,045 units sale kari thi aur Tata ne Altroz ki 7,550 units sale kari. But April me sales figure me kafi changes mile hai. Tata Altroz jo ki Filhal India ki safest hatchback hai uski 6,449 units sale hui aur i20 ki 5,002 units hi sale hui. Aur premium hatchback segment still Maruti Suzuki Baleno hi lead kar rahi hai. Maruti Suzuki ne Baleno ki April me 16,384 units sale kari jo ki march ke comparison me 22% kam hai.
Also read - Best selling scooters in India : March 2021
Detailed walk around review of Hyundai i20 in Hindi -
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
1 Comments
It is really a helpful blog to find some different source to add my knowledge.
ReplyDeleteChauffeur Services In Melbourne