Skoda apni Fabia ka naya aur updated version ko globally reveal kar diya hai. Ye gaadi MQB AO platform par bani hai.
Updated 4th generation Skoda Fabia me ache features dekhne ko milte hai.
Exterior :-
Nayi Skoda Fabia ek simple look ke sath aati hai. Iske front me hume butterfly grille aur LED Headlamps aur rear me LED tail lamps dekhne ko milte hai.
Isme 15-18 inch ke alloy wheels ke options milte hai aur isme full panoramic glass roof bhi aata hai.
Iss gaadi ki length iss bar increase ki gayi hai aur isse isme space bhi increase ho gaya hai.
Also Read :-2021 Land Rover Discovery Facelift : India Launch
Interior aur features :-
Also Read :- Tata Altroz surpasses Hyundai i20 in terms of April'21 sales
Engine :-
Nayi Skoda Fabia sirf Petrol engine option ke sath aati hai. Iske engine options ki baat kare toh hume isme :-
- 1.0-litre, 3-cylinder NA jo ki 65 HP ki power aur 93 Nm ka torque produce karta hai aur ye engine 5 speed Manual gearbox option ke sath aata hai.
- 1.0-litre, 3-cylinder NA engine jo ki 80 HP ki power aur 93 Nm ka torque produce karta hai aur ye engine 5 speed Manual gearbox option ke sath aata hai.
- 1.0-litre, 3-cylinder turbo petrol engine jo ki 95 HP ki power aur 175 Nm ka torque produce karta hai aur ye engine lower varient me 5-speed Manual gearbox option aur higher variant me hume 6-speed manual or 7-speed DSG ke sath aati hai.
- 1.0-litre, 3-cylinder turbo petrol jo ki 110 HP Power aur 200 Nm ka torque produce karta hai.
- 1.5-litre, 4-cylinder turbo petrol jo ki 150 HP ki power aur 250 Nm ka torque produce karta hai aur ye engine 7-speed DSG automatic gearbox option ke sath aata hai.
THANK YOU, for reading!
Agar aapko hamare blog ache lage toh please bell icon ko click karke subscribe kare. Agar aapka koi question ho aur next blog kis topic pe chahiye hume comment karke btae aur latest updates ke liye hume instagram pe follow kare @carosiast
0 Comments